Sunday, 12 February 2017

Become an owner

  Aaj ka yuwa varg sarkari naukari ko paane ke liye bhatak raha hai. Isaki khatir wah tarah tarah ke upay karta rahta hai. Is chakkar me kai bechare to thage bhi jaate hain. Ab to farji vigyapanon ki bharmar hai. Sarkar bhi is tarah ke vigyapan nikalati hai ki jab lagbhag sabhi prakriyayen puri hone wali hoti hain, tabhi us par kisi karan se rok laga diya jata hai. Ya jab chunav najdik aate hain to duniya bhar ki vacancies ka vigyapan diya jata hai. Hamra yuwa un awedan patron ko bharkar pariksha deta hai. Chunav baad pata chalta hai ki purani wali sarkar badal gayi,aur nayi sarkar ne sabhi prakriyaon par rok laga diya. Sab abhyarthi haanth malakar aur man me afsos kar ke chup baith jaate hain. Akhir kare bhi kya ye sab sarkaron ka khel hai.
   Farji vigyapano ki bharmar ki wajah se yuwa ye nahi samajh paate ki wakai me isame sahi kaun hai aur galar kaun hai. Ek yuwa kitane armanon ke sath un parikshayon ki taiyari kiye rahte hain. Sarakaron ko ise radd karne me jara bhi der nahi lagati. Ek yuwa jo abhi padhkar collage se nikala hai, aur jisaki aay ka koi anya sadhan nahi hai,use kisi awedan ki aupachariktaon ko pura karane me kitani mashshakat karni padati hai ise ek abhyarthi hi behtar janta hai. In awedanon ke chakkar me unaka itana jyada samay barbad ho jata hai ki aage chal kar we bechare shahron me jakar ulte sidhe kaam karte hain, ya fir apradhiyon ke sath chale jate hain.
   Mera yah blog unhi ke liye hai.
 Akhir ham kyon naukari ke pichhe bhagate hain. Kyon na ham malik banane ki koshish kare. Waise bhi ek kahawat hai hai ki simit dayare me rahana hai to naukari karo aur duniya me raaj karna hai to vyawasay. To is naukari ka chakkar chhod ke apna khud ka kuchh naya vyawasay shuru karen. Duniya me ek se ek vyawasay hai jise apbi punji ki uplabdhata ke anusar shuru kiya ja sakta hai. Aise hi ek vyawasay ke baare me mai aaj aap ko bata raha hun , jo naya ke saath sath kafi kamai wala bhi hai.
    Is ko shuru karne ke liye na to bahut jyada punji ki jarurat hai na hi kisi vishesh gyan ki .isake liye aap kuchh dino ka prashikshan lekar shuru kar sakte hain.
  Moti ki kheti karen.
  Is hetu aapko sirf das by das ke do chhote tank banwane padenge. Chnuki moti sirf sip se hi banata hai to usame pani bharkar aapko sip dalne padenge. Jinko kuchh dinon ki nigarani ke baad ,uname chhote chhote taron ya kisi bhi chij ke tukade dalne honge. Isake baad aath se das mahine baad aapka moti taiyar ho jata hai. Jise bechane ke liye aap jauhariyon se sampark kar sakate hain ya phir isaka internet par vigyapan dekar karodon kama sakte hain. Agar aap chahen to ise sidhe bharatiy sansathan ko bhi bech sakte hai. Moti ek dana 250 se lekar quality ke anusar hajaron ka hai . Jisaki jankari aapko prashikshan me diya jata hai.
   Yah ek surakshit aur jaldi aur jyada paise kamane ka tarika hai. Jise koi bhi kar sakta hai.
  Duniya ke bazaron me moti ki khapat ke apeksha utpadan bahut hi kam hai. Isaliye isame awasaron ki bharmar hai.
  Yadi aap chahen to parsanaly mujhase sampark kar sakte hain . Mere e-mail id pe mail karke yadi kuchh puchhana to bhi puchh sakte hain.

No comments:

Post a Comment