Saturday, 4 March 2017

Earn thousands rupees per day

Har byakti kamane ke liye tarah tarah ke jugat me laga rahta hai. Apne apne hisab se sab log koshish kar rahe hain.Amuman har aadmi chahta hai ki koi jyada pareshani uthaye bina hi achchhi khasi kamai ho. Isiliye jyadatar yuva barg internet ke chakkar me fansa huaa hai. Jahan use kamai kam dhokha hi jyada milata hai. Manav ka swabhav hai ki jab pareshani dusare par hoti hai to use salah dene wale saikadon mil jaate hain. Lekin jab wahi pareshani khud par aa jaati hai tab dimag kaam karna band kar deta hai.
    Mitron, ek baat jaan le tairna sikhne ke liye talab me utarana hi padata hai. Aisa koi guru ya teknik nahi hai jo kitabon se padhakar jamin par tairana sikha de. Thik usi tarah koi bhi naya kaam karne par thode bahut khatare to uthane hi padenge. Aap yadi kuchh naya aur apne khud ke dwara kuchh karna chahte hain to mera yah blog pura padhe.
     Paisa kamana kabhi bhi na to aasan raha hai na hi rahega. kisi bhi vyawasay me safalara paane ke liye ek josh, aur junun ki jarurat hoti hai. Yadi aap me bhi josh aur junun hai tatha khatare uthane ko taiyar hain to fir duniya ki koi takat safal hone se nahi rok sakti.
      Aaj mai aapko aisa business bata raha hun jisake dwara aap pahle hi din se hajaron rupaye pratidin kama sakte hain.
     Aapne murgi palan ka naam to suna hi hoga, par usame roj nahi kamaya ja sakta hai. Usi ko poltry form ke rup me yadi shuru kiya jay  to income rojana hi hoga. Isake liye aap kam se kam ek hajar murgiyon se apna kaam shuru karen. murgi wah ho jo sirf anda dene wali ho.
    Ek hajar murgiyon ka per day ek hajar anda bhi hoga jo maujuda samay me kam se kam paanch rupaye me bik raha hai, us hisab se aap pratidin ke paanch hajar rupaye aasani se kama sakte hain. uname unka dana ,dawa aadi ka kharch nikal diya jay to bhi aap teen hajar rupaye roj kama sakte hain.
    Jab we murgiyan anda dena band kar de unhe maans hetu bech kar nayi murgiyan dalte rahen.
  Bilkul hi aasan aur bina jyada jhanjhat ka yah business hai. Isake marketting ki bhi koi pareshani nahi hai. Sare ke sare ande aapke ghar se bik jayenge.

Thursday, 2 March 2017

Ek naya idea, jo duniya baal de

      Mitron ham sab kabhi na kabhi cold drinks ka sevan jarur karte hain. In cold drinks ke bahut se brand hain. Isi me ab kai tarah ke falon ka juice bhi becha jata hai. Jiname sirf flavour hota hai. Aap bazar me Aam ka, ya amrud ka, ya sev ka  matlab lagbhag sab tarah ke falon ke flavour wale fruit juice ko bikate huae dekhte honge.
    Kya aapne kabhi socha hai ki 
Is tarah ke vyawasay ko naye tarike se kaise kiya jay. Is kshetra me ek se badhakar ek bahurashtriya companies pahle se hi maujud hain. Lekin jo aaj mai aapko batane ja raha hun usame koi bhi company abhi tak nahi hai.
   
   Ham sab jante hain ki Bharat me ganne ki paidawar bahutayat rup me hota hai. Jise chini banane me prayog kiya jata hai. Ganne ka ras bahut hi swadisht aur fayademand hota hai. Yah pachan shakti ko badhane ka kary karta hai. Aapne bhi jarur kabhi na kabhi ise piya hoga.
     Yadi isi juice(ras) ko ham cold drink ki tarah pakejing aur bottal band karane ka bussiness shuru karen to isame shat pratishat saflata milane ke chance hain.
    Hamara desh khud me itana bada bazar hai ki hame isake marketing me kisi tarah ki pareshani hi nahi hogi.
    Ek qwintal ganne me lagbhag pandrah se solah litar ras nikal jata hai. Aaj kal market me iska chhota gilas bhi das rupaye ka milata hai. Lekin yadi isi chij ko ek bottaling plant lagakar bech jay to munafa kafi had tak badh jayega.
   Ek chij ka hamesha dhyan rakhe ki koi bhi dhandha kabhi loan lekar shuru na karen. jab aap ka business chalne lage tab hi loan le. Kyonki kisi chij ki shuruaat me kafi dikkte hoti hain, aur bank ka interest to chalta rahega. jisaki wajah se aap hamesha hi pareshan rahenge. Business jab chalne lage to use badhane ke liye loan le taki chalte huye business ko bade rup me kiya ja sake.